awwalan us be-nishan aur ba-nishan ko ishq hai

awwalan us be-nishan aur ba-nishan ko ishq hai
baad-azan sar halqa-e-paigham-baran ko ishq hai

la-fata-illa-ali hai shan mein jis ki nuzul
dostan us shah-e-mardan se jawan ko ishq hai

phir jo hai bagh-e-nabuwwat aur imamat ki bahaar
ghuncha-e-gul sabza-e-ambar-fishan ko ishq hai

arsh o kursi hur o ghilman aur malaek khas o aam
aalam-e-baala ke sab bashindagan ko ishq hai

hain jo ye chaudah tabaq mutharrik o sakin sada
be-sukhan un sab zamin-o-asman ko ishq hai

mukhtalif hain aur mile rahte hain baham roz-o-shab
khak baad o aatish o aab-e-rawan ko ishq hai

hai jahan mein jin se raushan adl ke ghar ka charagh
dam-ba-dam un baadshahan-e-jahan ko ishq hai

aur khurasan asfahan iran aur turan ko
phir hamare gulshan-e-hindostan ko ishq hai

hain jahan tak silsile fuqara ke az-kah-ta-bah-mah
aarifan aur kaamilan aur aashiqan ko ishq hai

koh tharraate hain larzen hain zamin o aasman
aashiq-e-maula ki fariyaad-o-fughan ko ishq hai

har taraf gulzar hai sabzan aur aab-e-rawan
apni nazron mein bahaar-e-gul-fashan ko ishq hai

wo jo hain is gulshan-e-hasti mein ab mahw-e-fana
un ke aage mausam-e-baad-e-khizan ko ishq hai

gard ke manind phirti hain padi udti kharab
lut gai dast-e-junun ki karwan ko ishq hai

lotte hain mast mai-khane ke dar par ja-ba-ja
jam o sahba saqi o pir-e-mughan ko ishq hai

kal hi naqsh-e-zaiqa sun kar bhi hum aamil rahe
ai azizan is hayat-e-raegan ko ishq hai

khilqat-e-kaunain mein kya jin o kya insan 'nazir'
wahshi o tair zaban o be-zaban ko ishq hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close