ayan ho aap begana banaya wajud-e-khak ka shana banaya tu hai alfaz se mahir ai waiz mujhe be-kaif-o-kam-mana banaya kiya izhaar jab main raaz-e-haq ko to aalam mujh ko rindana banaya hansi se meri is ne tal di baat main tha hoshiyar diwana banaya mujhe saqi ne be-minnat ke di mai khumar-e-ishq-e-mardana banaya pukara ishq ne ja dhundh le yar tan-e-khaki ko hai khana banaya udaya baat mein jo khud-parasti mujhe mul de ke mastana banaya main jaana aap ko har haal mazhar ba-zahir banda farzana banaya ai 'markaz' tujh se hai sab shan zahir ajab aaina shahana banaya