az-sar-e-nau fikr ka aaghaz karna chahiye

az-sar-e-nau fikr ka aaghaz karna chahiye
be-par-o-baal sahi parwaz karna chahiye

sath par rahte hain un ko dubna aata nahin
kyun na in tinkon ko sar-afraaz karna chahiye

qurb mein duri bahut hai bod mein qurbat bahut
har tawalat ko ata ijaz karna chahiye

dil bana taus andeshe bane zagh o zaghan
zehn ko ham-paya-e-shahbaz karna chahiye

har ada mashuq ki banti hai paiman-e-wafa
laghzish-e-pa ko nazar-andaz karna chahiye

sher ki takhliq 'kawish' fel-e-jinsi to nahin
manawi aulad par hi naz karna chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close