azab-e-hijr se anjaan thoDi hota hai

azab-e-hijr se anjaan thodi hota hai
ye dil ab itna bhi nadan thodi hota hai

ye zindagi hai bahut kuchh yahan pe mumkin hai
ki kuchh na hone ka imkan thodi hota hai

ye dil ke zakhm chhupa kar jo muskuraate hain
to mere dost ye aasan thodi hota hai

kabhi-kabhaar to bidat bhi ho hi jati hai
har ek lamha tera dhyan thodi hota hai

wo jis ke pas mohabbat bhi ho, wafa bhi ho
bhala wo be-sar-o-saman thodi hota hai

teri wafa mein kami kuchh to aai hai ki ye dil
bila-jawaz pareshan thodi hota hai

idhar udhar se dalilen uthani pad jaen
jo itna kachcha ho, iman thodi hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close