azal ke din jinhen dekha tha bazm-e-husn-e-pinhan mein

azal ke din jinhen dekha tha bazm-e-husn-e-pinhan mein
simat aaen wahi ranaiyan taswir-e-jaanan mein

mera zauq-e-nazar ab us maqam-e-ashiqi par hai
jahan uljha hua hai husn bhi khwab-e-pareshan mein

badha de kash koi wusaten anwar-e-mani ki
mujhe tarmim karna hai mazaq-e-chashm-e-hairan mein

abhi gunjaishen dekhi kahan hain ahl-e-alam ne
sama ja ai ajal aa tu bhi khalwat-khana-e-jaan mein

har ek tar-e-gareban hasil-e-sad-barq-e-aiman hai
khuda-malum kitne husn hain chaak-e-gareban mein

khuda rakkhe mere daman mein hai ek phul aisa bhi
khatakta hai jo kante ki tarah chashm-e-gulistan mein

azal ke roz se arsh-o-malaik sajda karte hain
koi to baat hai ai 'arzu' tarkib-e-insan mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close