ba-har-surat mohabbat ka yahi anjam dekha hai ki jaan de kar bhi insan ko yahan nakaam dekha hai jahan pahunchi hain parde chaak kar ke ishq ki nazren kahan tu ne wo manzar ai nigah-e-am dekha hai nigah-e-yar ko barham kiya hai main ne khud akasr kabhi jo dard ko dil ke zara aaram dekha hai labon tak mere badh ke khud hi aa pahuncha hai ai saqi nazar bhar kar kabhi main ne jo su-e-jam dekha hai kiya hai munkir-o-sarkash ko bhi sairab duniya mein tere abr-e-karam ne kis ko tishna-kaam dekha hai dil-o-jaan kar diye nazr-e-nigah-e-naz bas main ne na kuchh aaghaz dekha hai na kuchh anjam dekha hai mariz-e-gham ki haalat dekhne wale ye kahte hain ki be-hoshi mein bhi lab par tumhaara nam dekha hai ye apni mukhtasar hai 'ashk' rudad-e-rah-e-ulfat ki bas nakaamiyon ko sath har har gam dekha hai