ba-juz tumhaare kisi se koi sawal nahin ki jaise sare zamane se bol-chaal nahin ye sochta hun ki tu kyun nazar nahin aata meri nigah nahin ya tera jamal nahin tajahul apni jafaon pe aur mahshar mein khuda ke samne kahte ho tum khayal nahin ye kah ke jalwe se behosh ho gae musa nigah us se milaun meri majal nahin main har bahaar-e-gulistan pe ghaur karta hun jala na ho mera ghar aisa koi sal nahin khata muaf ki sarkar munh pe kahta hun baghair aaina kah lo meri misal nahin main chandni mein bulata to hun wo kah denge 'qamar' tumhein meri ruswai ka khayal nahin