ba-qadr-e-shauq nahin lutf-e-mahfil-arai shadid-tar hai sar-e-bazm apni tanhai kahan wo shoala-nawai kahan ye khamoshi badal gae hain zamane ki tere saudai meri fughan ko to samjhenge log mera junun tera sukut na ban jae wajh-e-ruswai sadaf sadaf hai shikar-e-talatum-e-dariya kisi guhar mein to paida ho shan-e-yaktai na fikr-o-hosh na qalb-o-nazar na zarf-o-zamir naya jahan hai nai khusrawi-o-darai charagh-e-rah-e-mohabbat thi khak-e-ahl-e-wafa qadam qadam pe 'karam' raushni nazar aai