ba-rang-e-khwab main bikhra rahunga tere inkar jab chunta rahunga kabhi socha nahin tha main tere bin yun zer-e-asman tanha rahunga tu koi aks mujh mein dhundna mat main shisha hun faqat shisha rahunga taffun-zar hoti mahfilon mein khayal-e-yar se mahka rahunga jiyunga main teri sanson mein jab tak khud apni sans mein zinda rahunga gali bazar badhti wahshaton ko main tere nam hi likhta rahunga