ba-samar hone ki ummid pe baitha hun main apni taqdir mein barani ilaqa hun main hiddat-e-lams mujhe aatish-e-ehsas laga barf-alud hawaon ka jamaya hun main mere kirdar ko is daur ne samjha hi nahin qissa-e-ahd-e-guzishta ka hawala hun main umr hai rassi pe chalte hue shole ki tarah khel mein gend pakadta hua bachcha hun main hansta hun khelta hun chikhta hun rota hun itne mutazad rawayyon ka thikana hun main har nae pat ki aamad ki khushi mujh se hai aur har jhadti hui shakh ka sadma hun main aise mahaul ka hissa hun jo mera nahin hai kabhi fariyaad sarapa kabhi shikwa hun main