ba-zahir to tanawar dikh rahe hain

ba-zahir to tanawar dikh rahe hain
magar ye ped sare khokhle hain

ye kis shama ki chahat mein patinge
barahna panw suraj par khade hain

ghazal kitni apahij ho gai hai
ghazal ke dast-o-bazu kah rahe hain

dararen jism ki khulne lagi hain
lahu ke qatre bar-amad hue hain

har ek jaanib hai tariki ka jangal
ujale rasta bhatke hue hain

'nawaz' us ki gali ke sare patthar
mujhe achchhi tarah pahchante hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close