ba-zahir tujhse milne ka koi imkan nahin hai

ba-zahir tujh se milne ka koi imkan nahin hai
dilason se bahalta ye dil-e-nadan nahin hai

chaman mein lakh bhi barse agar abr-e-bahaaran
to nakhl-e-dil hara hone ka kuchh imkan nahin hai

hawa-e-waqt ne jis basti-e-dil ko ujada hai
use aabaad karna kaam kuchh aasan nahin hai

wo ek diwar hai hail hamare darmiyan jo
kisi rauzan ka us mein ab koi imkan nahin hai

agarche kha gai dimak ghamon ki baam-o-dar ko
magar tuti abhi tak ye fasil-e-jaan nahin hai

tumhaari ruh 'bushra' qaid hai tan ke qafas mein
ise aazad karna moajaza aasan nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close