ba-zahir ye wahi milne bichhaDne ki hikayat hai

ba-zahir ye wahi milne bichhadne ki hikayat hai
yahan lekin gharon ke bhi ujadne ki hikayat hai

sipah-salar kuchh likhta hai taswir-e-hazimat mein
magar ye to adu ke panw padne ki hikayat hai

kaniz-e-be-nawa ne ek shahzade ko chaha kyun
mohabbat zinda diwaron mein gadne ki hikayat hai

khuli aankhen to kandhon par kitabon se bhara basta
ladakpan ab kahan titli pakadne ki hikayat hai

kai sadiyan ganwa din hum ne kam-koshi ki rahat mein
bahut hi dukh bhari apne bichhadne ki hikayat hai

parai khak ne un par kahin banhen na phailain
ye hijrat ka safar jad se ukhadne ki hikayat hai

qadam kab tak jame rahte mere sailab ki zad mein
meri be-chaargi tinke pakadne ki hikayat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close