baada-e-KHum-e-KHana-e-tauhid ka mai-nosh hun

baada-e-khum-e-khana-e-tauhid ka mai-nosh hun
chur hun masti mein aisa be-khud-o-madhosh hun

gird phirne de mujhe saqi ye mera farz hai
misl-e-saghar daur mein hun baada-e-sar-josh hun

tarz-e-khamoshi meri batlati hai is raaz ko
hun nawasanj-e-haqiqat lakh main khamosh hun

dardmand-e-ishq ho kar zabt ka khugar hun main
surat-e-simab ho kar paikar-e-khamosh hun

kis ki furqat wasl kis ka aur hai mashuq kaun
'shad' main is aalam-e-takwin ka ham-aghosh hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close