baada-kash hun na parsa hun main

baada-kash hun na parsa hun main
koi samjhae mujh ko kya hun main
raat bikhre hue sitaron ko
din ki baaten suna raha hun main
mere dil mein hain gham zamane ke
sari duniya ka majra hun main
sher achchhe bure hon mere hain
zehn se apne sochta hun main
koi manzil nahin meri manzil
kis dorahe pe aa gaya hun main
yun gira hun ki uth nahin sakta
shayad apna hi naqsh-e-pa hun main
un ka afsana kahte kahte 'zuhair'
apni rudad kah gaya hun main