baam se dhal chuka hai aadha din kis se milne chala hai aadha din tum jo chaho to ruk bhi sakta hai warna kis se ruka hai aadha din jhankti sham ke kinare par mujh se phir lad pada hai aadha din us ne dekha jahan palat ke mujhe bas wahin ruk gaya hai aadha din aas ki aahaten jagae hue khidkiyon mein saja hai aadha din dhup ki reshmin tanabon par kis tarah tutta hai aadha din pad rahi hogi barf wadi mein aankh mein jam gaya hai aadha din tirgi ka libas odhe hue mere andar chhupa hai aadha din 'ambarin' ek hai bakhede sau aur guzar bhi gaya hai aadha din