baat karna hai karo samne itrao nahin jo nahin jaante us baat ko samjhao nahin main wo samjha hun bayan tum se jo hoga na kabhi be-zarar hun mere is kashf se ghabrao nahin is tarannum mein to mafhum nahin hai koi sher kahte ho to padh dalo magar gao nahin band aankhon mein bikhar jate hain bajte hue rang mujh se andhe ko koi aaina dikhlao nahin main ikai ki tarah sab mein samaya 'majid' baat badh jaegi aadad ko ginwao nahin