baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi

baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi

conversing has never been so diffficult for me
your company now is no more as it used to be

le gaya chhin ke kaun aaj tera sabr o qarar
be-qarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi

who is it that's spirited your peace and calm away
o heart you never were perturbed as you are today

us ki aankhon ne khuda jaane kiya kya jadu
ki tabiat meri mail kabhi aisi to na thi

lord knows what enchantment her eyes have cast on me
never was my temperament inclined to this degree

aks-e-rukhsar ne kis ke hai tujhe chamkaya
tab tujh mein mah-e-kaamil kabhi aisi to na thi

reflection of whose face is it that causes you to glow?
o full moon, you've never shone this brightly before

ab ki jo rah-e-mohabbat mein uthai taklif
sakht hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi

--------
--------

pa-e-kuban koi zindan mein naya hai majnun
aati aawaz-e-salasil kabhi aisi to na thi

in jail some lover, newly crazed, is stomping all around
never did the clamour of the chains produce this sound

nigah-e-yar ko ab kyun hai taghaful ai dil
wo tere haal se ghafil kabhi aisi to na thi

o heart why is my loved one's glance neglectful today?
unmindful of your state, it has never been this way

chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin
jaisi ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi

--------
--------

kya sabab tu jo bigadta hai 'zafar' se har bar
khu teri hur-shamail kabhi aisi to na thi

what reason zafar's every act you do now deplore
houri-face! your nature never was like this before


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close