baat kuchh bhi na thi kyun khafa ho gaya jo tha apna mera ghair sa ho gaya dhup shiddat ki thi chal pada rah mein man ka aanchal mera aasra ho gaya mujh ko mauj-e-bala se koi dar nahin jab sahaara mera nakhuda ho gaya ab to aankhon se aansu bhi bahte nahin zulm jab un ka had se siwa ho gaya dil mein 'asghar' ke khushiyon ki barsat thi hanste hanste wo kyun gham-zada ho gaya