baatil hai hum se dawa shaer ko ham-sari ka diwan hai hamara kisa jawahari ka chehra tera sa kab hai sultan-e-khawari ka chira hazar bandhe sar par jo wo zari ka munh par ye goshwara moti ka jalwa-gar hai jaise qiran-e-baham ho mah o mushtari ka aaina-khane mein wo jis waqt aan baithe phir jis taraf ko dekho jalwa hai wan pari ka juz shauq-e-dil na pahunchun hargiz ba-ku-e-jaanan ai khizr kab hun teri muhtaj rahbari ka jo dekhta hai tujh ko hansta hai qahqahe mar ai shaikh tera chehra mabda hai maskhari ka talib hain sim-o-zar ke khuban-e-hind 'sauda' ahwal kaun samjhe aashiq ki be-zari ka