bab-e-hairat se mujhe izn-e-safar hone ko hai

bab-e-hairat se mujhe izn-e-safar hone ko hai
tahniyat ai dil ki ab diwar dar hone ko hai
khol den zanjir-e-dar aur hauz ko khali karen
zindagi ke bagh mein ab sah-pahar hone ko hai
maut ki aahat sunai de rahi hai dil mein kyun
kya mohabbat se bahut khali ye ghar hone ko hai
gard-e-rah ban kar koi hasil safar ka ho gaya
khak mein mil kar koi lal-o-guhar hone ko hai
ek chamak si to nazar aai hai apni khak mein
mujh pe bhi shayad tawajjoh ki nazar hone ko hai
gum-shuda basti musafir laut kar aate nahin
moajaza aisa magar bar-e-digar hone ko hai
raunaq-e-bazar-o-mahfil kam nahin hai aaj bhi
saneha is shahr mein koi magar hone ko hai
ghar ka sara rasta is sarkhushi mein kat gaya
is se agle mod koi ham-safar hone ko hai

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close