bada be-dad-gar wo mah-jabin hai magar itna nahin jitna hasin hai tabassum-pashiyan aghyar par hain hamare waste chin-e-jabin hai jahan mein amn ho kyun-kar ki har su bapa jang-e-baqa-e-behtarin hai nahin ka lafz hai kuchh talkh warna tumhaari han ka matlab bhi nahin hai tere mehman wo aaen ai 'wafa' kya are tera thikana bhi kahin hai