badal chuke hain sab agli riwayaton ke nisab jo the sawab-o-gunah ho gae gunah-o-sawab numu ke bab mein wo bebasi ka aalam hai bahaar mang rahi hai khizan ruton se gulab badal ke jam bhi hum to rahe khasare mein hamare pas lahu tha tumhaare pas sharab mere kahe ko amanat samajhna mauj-e-hawa main aane wale zamanon se kar raha hun khitab so meri pyas ka donon taraf ilaj nahin udhar hai ek samundar idhar hai ek sarab khud aagahi ka saliqa sikha gaya 'anjum' mere khilaf mere doston ka istiswab