badal jaega sab kuchh ye tamasha bhi nahin hoga

badal jaega sab kuchh ye tamasha bhi nahin hoga
nazar aaega wo manzar jo socha bhi nahin hoga

har ek lamha kisi shai ki kami mahsus bhi hogi
kahin bhi dur tak koi khala sa bhi nahin hoga

wo aankhen bhi nahin hongi kahen jo an-kahi baaten
hawa mein sabz aanchal ka wo lahra bhi nahin hoga

simat jaegi duniya saat-e-imroz mein ek din
shumar-e-zist mein diroz o farda bhi nahin hoga

magar qad roz o shab ka dekh kar hairan sab honge
madar apna zamin ne garche badla bhi nahin hoga

ajab viraniyan aabaad hongi qarya-dar-qarya
shajar shakhon pe chidiyon ka basera bhi nahin hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close