badan ka kaam thoda hai magar mohlat ziyaada hai so jo ghaflat ziyaada thi wahi ghaflat ziyaada hai hamein is aalam-e-hijran mein bhi ruk ruk ke chalna hai unhen jaane diya jae jinhen ujlat ziyaada hai na jaane kab kisi chilman ka hum nuqsan kar baithen hamein chehra-kushai ki zara rukhsat ziyaada hai kabhi main khud ziyaada hun tan-e-tanha ki wahdat mein kabhi meri zarurat se meri wahdat ziyaada hai tujhe halqa-ba-halqa khinchte phirte hain duniya mein so ai zanjir-e-pa yun bhi teri shohrat ziyaada hai ye dil bahar dhadakta hai ye aankh andar ko khulti hai hum aise marhale mein hain jahan zahmat ziyaada hai main qarnon ki tarah bikhra pada hun donon waqton mein meri jalwat ziyaada hai meri khalwat ziyaada hai so hum fariyaadiyon ki ek apni saf alag se ho hamara masala ye hai hamein hairat ziyaada hai