badan kajla gaya to dil ki tabani se niklunga main suraj ban ke ek din apni peshani se niklunga nazar aa jaunga main aansuon mein jab bhi rooge mujhe mitti kiya tum ne to main pani se niklunga tum aankhon se mujhe jaan ke safar ki mat ijazat do agar utra lahu mein phir na aasani se niklunga main aisa khub-surat rang hun diwar ka apni agar nikla to ghar walon ki nadani se niklunga zamir-e-waqt mein paiwast hun main phans ki surat zamana kya samajhta hai ki aasani se niklunga yahi ek shai hai jo tanha kabhi hone nahin deti 'zafar' mar jaunga jis din pareshani se niklunga
Please share if you liked this!!!