badan ke donon kinaron se jal raha hun main ki chhu raha hun tujhe aur pighal raha hun main tujhi pe khatm hai jaanan mere zawal ki raat tu ab tulu bhi ho ja ki dhal raha hun main bula raha hai mera jama-zeb milne ko to aaj pairahan-e-jaan badal raha hun main ghubar-e-rahguzar ka ye hausla bhi to dekh hawa-e-taza tere sath chal raha hun main main khwab dekh raha hun ki wo pukarta hai aur apne jism se bahar nikal raha hun main