badan ke gumbad-e-khasta ko saf kya karta tere jahan mein nae inkishaf kya karta adam ke unghte pani mein jab thi meri lahr mere wajud se main ikhtilaf kya karta na koi shor tha is mein na koi sannata main apne ruh ke gunge tawaf kya karta ki ek dawam ke tewar the murtaish is par safar ki gard se main inhiraf kya karta kai yugon ki shafaq mein tadap chuka hai 'riyaz' lahu ab apne junun ko muaf kya karta