badan ki ot se takne laga hai wo apna zaiqa chakhne laga hai munderon par parinde chahchahae pas-e-diwar phal pakne laga hai bahut lambi masafat hai badan ki musafir mubtadi thakne laga hai use andha safar kya ras aaya qadam be-sakhta rakhne laga hai