badan mein awwalin ehsas hai takanon ka rafiq chhut gaya hai kahin udanon ka hisar-e-khwab mein aanhken panah leti hui ajab khumar sa mahaul mein azanon ka charagh-e-subh si bujhne lagin meri aanhken jab intishaar na dekha gaya gharanon ka aman kahte hain jis ko bas ek tasawwur hai ki yun thahar sa gaya waqt imtihanon ka jo us ke honton ki jumbish mein qaid tha 'ashhar' wo ek lafz bana bojh mere shanon ka