baDha hai soz-e-jigar ab madad ko aae koi

badha hai soz-e-jigar ab madad ko aae koi
ghazab ki aag lagi hai zara bujhae koi

padi hai dil ko mere khud bhi aadat-e-fariyaad
ye chhedta hai har ek ko ki phir satae koi

sunae jate hain hum qissa-e-gham-e-furqat
khuda kare ki na mahfil mein muskurae koi

tadap wo hijr ki thi ab ye maut ki hai tadap
jo dekhna ho to ab aa ke dekh jae koi

jinhen ye dekh ke tab aati hai wo aur hain log
hum apne munh ko phiraate hain muskurae koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close