badi mushkil kahani thi magar anjam sada hai ki ab us shakhs ka hum se bichhadne ka irada hai aur is ke baad ek aise hi lamhe tak hai khamoshi hamein dar-pesh phir se lamha-e-tajdid-e-wada hai suno raste mein ek jalta hua sahra bhi aaega kaho kab tak hamare sath chalne ka irada hai hamein aasaniyon se pyar tha aur log kahte the agar manzil se hat jaen to har rasta kushada hai sitara-dar-sitara tutta hai aasman to bhi tere qisse mein bhi meri kahani ka iada hai main hun na-mo'tabar manzil ki khatir mo'tabar rah par wajud-e-khwahish-e-jaan par duaon ka libaada hai kuchh aisi shiddaton se hum guzar kar aae hain 'adil' hamein teri zarurat bhi zarurat se ziyaada hai