badli hui hai charKH ki raftar aaj-kal

badli hui hai charkh ki raftar aaj-kal
ho band rast-goi ka bazar aaj-kal

ilm-o-hunar hai mulk ko darkar aaj-kal
hum khud bhale-bure ke hain mukhtar aaj-kal

hai aur hi tariqa-e-bazar aaj-kal
jins-e-nafis ke hain kharidar aaj-kal

ghaflat ka daur mulk se shayad guzar gaya
makhluq hoti jati hai bedar aaj-kal

gul-guna-e-taraqqi-e-tahzib-o-alam se
shukr-e-khuda ki surkh hain rukhsar aaj-kal

kyun jaante hain sanat-o-hirfat ko bagh-e-khuld
ghairon ki hum nigah mein hain khar aaj-kal

raushan hai apni be-hunari aaftab se
hai subh ke qarib shab-e-tar aaj-kal

bigdi hui hai mai-kada-e-dahr ki hawa
ho jaen shaikh-ji bhi na mai-khwar aaj-kal

kya kaam in safed chudailon ka hind mein
kyun aisi shadiyon ki hai bhar-mar aaj-kal

har chiz ki girani ne viran kar diya
sarf-e-khizan hai hind ka gulzar aaj-kal

is bagh mein hai baad-e-khizan o baad-e-qaht
har gul ke dil mein hai khalish-e-khar aaj-kal

bhule hain apne farz ko ye khwajgan-e-hind
haq dene mein bhi karte hain inkar aaj-kal

shukr-e-khuda ki zulm se mazur hai falak
bartaniya hai khalq ki gham-khwar aaj-kal

yarab hamare dil ko tu apni panah de
dildar ho gae hain dil-azar aaj-kal

makhsus ho chuki hain iradi ghulamiyan
hai ek anar saikdon bimar aaj-kal

ek ek kar ke jitne hunar the wo chhin gae
hum zindagi se kyun na hon bezar aaj-kal

ek jurm aur fard-e-jaraem mein badh gaya
yani na dard-e-dil ka ho izhaar aaj-kal

jine ki fikr kijiye aur pet ka khayal
mauquf kije ishq ka aazar aaj-kal

pabandiyan bhi chahiyen insan ko zarur
aazadiyon ki kyun hai ye bhar-mar aaj-kal

milta nahin kahin dahan-e-yar hai anaj
faqon se jism hai kamar-e-yar aaj-kal

hai tang-dastiyon ke sabab zoaf is qadar
sab ki hain aankhen nargis-e-bimar aaj-kal

lakhon muhaal aqli o aadi sahi magar
kasb-e-maash sab se hai dushwar aaj-kal

kya kije tar niwalon ka mausam nahin raha
chipke hue hain yar ke rukhsar aaj-kal

faqon se hai ye haal agar tol kar bithaen
aadhe ticket mein jae tan-e-zar aaj-kal

gul kar diya charagh-e-maishat tu ai hawa
meada ke bhi na ghis gae kyun khar aaj-kal

chaaron taraf buland hai fariyaad hae hae
matam-kada hai qahqah-e-diwar aaj-kal

daulat jab aaegi ki wahi chiz hum banaen
jo chiz chahte hon kharidar aaj-kal

behtar hai kar-khanon se ho mulk ka bhala
ugalen gade khazanon ko zardar aaj-kal

sanat ka nam ganj hai hirfat ka nam zar
ilm-e-shikam hai mulk ko darkar aaj-kal

'parwin' ki ye dua hai rahe amn mulk mein
rabb-e-ghafur tu hi hai gham-khwar aaj-kal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close