bagh-e-jahan mein sarw sa gardan-kashida hun daman talluqat se aalam ke chida hun is qafila ko nala sunane ka zauq nin misl-e-jaras ke main na dahan-e-darida hun nin bhulne ka misl-e-jaras ki fughan ke tain nalan hun dil agarche lab-e-armida hun bismil hun dil-figar hun aur jaan-ba-lab hun aah surat ayan hai nale ki halq-e-burida hun rakhta hun is liye dil-e-sozan o chashm-e-tar jiyun shama dard-e-dagh se ishq-afrida hun