baghban jashn-e-bahaaran nahin hone dete

baghban jashn-e-bahaaran nahin hone dete
dip ulfat ke farozan nahin hone dete

zahr ulfat ka pilate hain bade fakhr ke sath
aap insan ko insan nahin hone dete

khud-numai mein kuchh is tarah giraftar hain hum
aur logon ko numayan nahin hone dete

aql ko shokhi-e-baatil mein phansane wale
qalb ko sahib-e-iman nahin hone dete

gham se nisbat hai jinhen zabt-e-alam karte hain
ashk ko zinat-e-daman nahin hone dete

ruh-e-afkar ko mear ata karte hain
hum khayalat ko uryan nahin hone dete

chand lamhe wo mere samne rah kar 'abrar'
chashm-e-betab ko hairan nahin hone dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close