bahaar aai gulon ko hansi nahin aai kahin se bu teri guftar ki nahin aai kuchh aur wajah hai kam ho gai hai lazzat-e-jam hamari pyas mein koi kami nahin aai ye kaenat sab aaghosh-e-nim-shab mein hai zamana ho gaya aawaz hi nahin aai dil ek darakht-e-zamin-bos baad o baran se ruten guzar gain konpal nai nahin aai na jaane kaisi ghadi se guzar rahe the hum ki jagte na rahe nind bhi nahin aai