bahaar aai hai phir pairahan gulabi ho

bahaar aai hai phir pairahan gulabi ho
wo chand aae sar-e-anjuman gulabi ho

siyah raat si chhai wo zulf chehre par
jabin-e-naz gulabi badan gulabi ho

khulen jo band-e-qaba raat jagmaga utthe
mahakti sej shikan-dar-shikan gulabi ho

hawa ki larzishen dahkatin aariz-o-lab ko
haya ki mauj se sara badan gulabi ho

wo hont chup hon to aankhon mein phul se jhamken
hilen to sari faza-e-sukhan gulabi ho

gulal is tarah barsae koi chaar taraf
chaman gulabi hawa-e-chaman gulabi ho

siyahi-e-shab-e-hijran siyah-tar na karo
jo ho to chand ka mere gahan gulabi ho

watan se dur bahaaron ko khojne wale
jo in dinon mein zamin-e-watan gulabi ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close