bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin hui mujhse

bahaar-e-zakhm-e-lab-e-atishin hui mujh se
kahani aur asar-afrin hui mujh se

main ek sitara uchhaala to nur phail gaya
shab-e-firaq yunhi dil-nashin hui mujh se

gulab tha ki mahakne laga mujhe chhu kar
kalai thi ki bahut marmarin hui mujh se

baghal se sanp nikale to ho gaya badnam
kharab achchhi tarah aastin hui mujh se

kahan se aai hai khushbu mujhe bhi hairat hai
ye raat kaise gul-e-asmin hui mujh se

main apne phul khilae hain us ki jhadi par
qaba-e-yar bahut reshmin hui mujh se

bas ek bosa diya tha kisi ke mathe par
tamam-shahr ki raushan jabin hui mujh se

ghazal suni to bahut dil se khush hua 'atif'
magar ghazal ki sataish nahin hui mujh se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close