bahaar ki dhup mein nazare hain us kinare safed pani ke sabz dhaare hain us kinare wahan ki subhon ka rang hai fakhtaon jaisa hameshgi ke nishan sare hain us kinare faza farishton ke nur se jagmaga rahi hai dhule hue aasaman sare hain us kinare wahan ki raaton mein khwab hain kimiya-garon ke rawan meri ruh ke sitare hain us kinare fazaon mein kashf ke diye jhilmila rahe hain hawaon mein ghaib ke ishaare hain us kinare wahan hai faizan aasman ki ziyafaton ka falak ne neamat ke khwan utare hain us kinare wahan hain angur ke chaman dewiyon ke darshan bahisht ke ehtimam sare hain us kinare kisan dil-shad khet aabaad hain wahan ke safed bheden hain sabz chaare hain us kinare yahan ye khamosh matami sogwar sahil wahan gadariyon ke git pyare hain us kinare