bahut aziz tha aalam wo dil-figari ka sukun ne chhin liya lutf be-qarari ka hamein bhi khu thi zamanon se dil jalane ki unhen bhi shauq purana tha shola-bari ka dilon mein un ke raha iztirab roz-o-shab wo jin ke sar pe raha bojh taj-dari ka wo jate jate mujhe apne gham bhi saunp gaya ajib dhang nikala hai gham-gusari ka kaha tha tum se ai 'azim' sambhal sambhal ke chalo bharam na rakkha magar tum ne parda-dari ka