bahut chup hun ki hun chaunka hua main zamin par aa gira udta hua main badan se jaan to ja hi chuki thi kisi ne chhu liya zinda hua main na jaane lafz kis duniya mein khoe tumhaare samne gunga hua main bhanwar mein chhod aae the mujhe tum kinare aa laga bahta hua main ba-zahir dikh raha hun tanha tanha kisi ke sath hun bichhda hua main chala aaya hun sahraon ki jaanib tumhaare dhyan mein duba hua main ab apne-ap ko khud dhundhta hun tumhaari khoj mein nikla hua main meri aankhon mein aansu to nahin hain magar hun ruh tak bhiga hua main banai kis ne ye taswir sachchi wo ubhra chand ye dhalta hua main
Please share if you liked this!!!