bahut dhoka kiya khud ko magar kya kar liya main ne tamasha mujh ko karna tha tamasha kar liya main ne yahan bhi ab nai aabaadiyon ka shor sunta hun yahan se bhi nikalne ka irada kar liya main ne safar mein dhup ki shiddat kahan tak jhelta aakhir teri yaadon ko odha aur saya kar liya main ne koi achchha nahin sab log ek jaise hain basti mein natija ye hua khud ko akela kar liya main ne koi mausam ho kaisi hi faza ho gham nahin hota zamane wala har ek rang paida kar liya main ne ye duniya apne dhab ki thi na duniya wale achchhe the magar kya kijiye phir bhi guzara kar liya main ne