bahut kuchh mehnaton se ek zara izzat kamai hai

bahut kuchh mehnaton se ek zara izzat kamai hai
andhere jhonpade mein raushni jugnu se aai hai

tasadduq zindagi faqon pe us ke ahd-e-hazir mein
ki jis ne jaan de kar aabru apni bachai hai

hamein inkar hai baatil-paraston ki qayaadat se
hamari zindagi ki har tamanna kar bulai hai

khud apne shahr mein apna shanasai nahin koi
na jaane justuju apni ye kis manzil pe lai hai

ajab dastur hai 'sahil' ki is ahd-e-taraqqi mein
bhalai mein burai aur burai mein bhalai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close