bahut tazkira dastanon mein tha

bahut tazkira dastanon mein tha
to kya wo kahin aasmanon mein tha

mujhe dekh kar kal wo hansta raha
to wo bhi mere raaz-danon mein tha

wo har shab chabaata raha azhdahe
suna hai ki wo naujawanon mein tha

ajab chiz hai lams ki tazgi
nasha hi nasha do jahanon mein tha

use zindagi mukhtasar hi mili
magar khanda-e-gul yaganon mein tha

wajud us ka dharti se chimta raha
dhyan us ka unchi udanon mein tha

parinde fazaon mein phir kho gae
dhuan hi dhuan aashiyanon mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close