bahut udas hai dil jaane majra kya hai mere nasib mein gham ke siwa dhara kya hai main jin ke waste duniya hi chhod aaya tha wo puchhte hain ki aakhir tujhe hua kya hai nibha raha hun main duniya ke rah-o-rasm yahan wagarna jism ke sahra mein ab bacha kya hai yahan to id ka mausam bhi ab nahin aata na jaane gardish-e-dauran ko ho gaya kya hai har ek raat meri zindagi ka matam hai har ek sham yahan maut ke siwa kya hai hamara farz to jalna hai sirf mahfil mein bhala charagh ka khushiyon se wasta kiya hai
Please share if you liked this!!!