bahut zi-fahm hain duniya ko lekin kam samajhte hain!

bahut zi-fahm hain duniya ko lekin kam samajhte hain!
ajab qissa hai sab kuchh jaan kar mubham samajhte hain

hawaen tez-tar hain aaj baadal aane wale hain
tadapte sard jhonkon ko bhi sab mausam samajhte hain

zamin karwat badalti hai nae rangon mein dhalti hai
nujumi kis tarah duniya ke pech-o-kham samajhte hain

falak ghaeb hua ye chand tare khak-dan se hain
inhen bhi log ek duniya naya aalam samajhte hain

bahut dana-e-raaz aae hazaron nukta-dan aae
samajhne ke liye wo zindagi ko gham samajhte hain

hui takhliq kaise aaj tak koi nahin samjha
nikale kab gae ye hazrat aadam samajhte hain

na koi ashk-shoi hai na chehra zard hai 'baqar'
hamari khamushi ko phir bhi wo matam samajhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close