bahut zindagi ka bhala chahta hun ba-alfaz-e-digar qaza chahta hun meri wahshaton ka sabab kaun samjhe ki main gum-shuda qafila chahta hun buton se hun bezar itna ki bas ab khuda hi khuda bas khuda chahta hun ye duniya ye uqba to sab chahte hain magar main kuchh is ke siwa chahta hun judagana hain ab yazidi mazalim so main karbala bhi juda chahta hun anasir ki zanjir ko tod kar main fana chahta hun baqa chahta hun mujhe shak hai hone na hone pe 'khalid' agar hun to apna pata chahta hun