bais-e-arz-e-hunar karb-e-nihani nikla lafz hi mamba-e-dariya-e-maani nikla sab ke honton ko chhua abr-e-rawan ne lekin mere hisse ka na dariyaon mein pani nikla kaun hota hai sharik-e-safar-e-tanhai mera saya hi mera dushman-e-jaani nikla zindagi jis ke tasawwur mein basar ki hum ne hae wo shakhs haqiqat mein kahani nikla jis ke sine mein bhi 'shadab' utar kar dekha takhta-e-mashq-e-sitam hae girani nikla