baiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai

baith jata hun jahan chhanw ghani hoti hai
hae kya chiz gharib-ul-watani hoti hai

nahin marte hain to iza nahin jheli jati
aur marte hain to paiman-shikani hoti hai

din ko ek nur barasta hai meri turbat par
raat ko chadar-e-mahtab tani hoti hai

tum bichhadte ho jo ab karb na ho wo kam hai
dam nikalta hai to aaza-shikani hoti hai

zinda dar-gor hum aise jo hain marne wale
jite-ji un ke gale mein kafni hoti hai

rut badalte hi badal jati hai niyyat meri
jab bahaar aati hai tauba-shikani hoti hai

ghair ke bas mein tumhein sun ke ye kah uthta hun
aisi taqdir bhi allah ghani hoti hai

na badhe baat agar khul ke karen wo baaten
bais-e-tul-e-sukhan kam-sukhani hoti hai

lut gaya wo tere kuche mein dhara jis ne qadam
is tarah ki bhi kahin rahzani hoti hai

husn walon ko zid aa jae khuda ye na kare
kar guzarte hain jo kuchh ji mein thani hoti hai

hijr mein zahr hai saghar ka lagana munh se
mai ki jo bund hai hire ki kani hoti hai

mai-kashon ko na kabhi fikr-e-kam-o-besh rahi
aise logon ki tabiat bhi ghani hoti hai

huk uthti hai agar zabt-e-fughan karta hun
sans rukti hai to barchhi ki ani hoti hai

aks ki un par nazar aaine pe un ki nigah
do kaman-daron mein nawak-fagani hoti hai

pi lo do ghunt ki saqi ki rahe baat 'hafiz'
saf inkar se khatir-shikani hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close