baiTha hun siyah-baKHt o mukaddar isi ghar mein

baitha hun siyah-bakht o mukaddar isi ghar mein
utra tha mera mah-e-munawwar isi ghar mein

ai sans ki khushbu lab-o-ariz ke pasine
khola tha mere dost ne bistar isi ghar mein

chatki thin isi kunj mein us hont ki kaliyan
mahke the wo auqat-e-mayassar isi ghar mein

afsana-dar-afsana thi mudti hui sidhi
ashaar-dar-ashaar tha har dar isi ghar mein

hoti thi harifana bhi har baat pe ek baat
rahti thi raqibana bhi aksar isi ghar mein

sharminda hua tha yahin pindar-e-imarat
chamka tha faqiron ka muqaddar isi ghar mein

wo jin ke dar-e-naz pe jhukta tha zamana
aate the badi dur se chal kar isi ghar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close